baad ek arse ke jab us ko qarar aaya
hawas-e-muntashir ko mujtama karne ka waqt aaya
KHayal aaya na kyun hum aisa karte hain
razm-gah-e-zindagi mein phir palaTte hain
dekh to len kya hua tha harim harim-e-naz mein
ishq ke asrar mein jazbaat ke izhaar mein
al-ajab wa-hairata kaisa yahan hai moamla
rida-e-iffat-o-ismat use jis shaKHs ne di thi
usi ki aankhon mein aur qalb mein nashtar chubhoti hai
ki us baKHshi hui chadar ke parde mein
wo apne jism ka aur husn ka jadu jagati hai
harim-e-naz ko bad-zaton se aabaad karti hai
Nazm
Flash-back
Abu Bakr Abbad