اردو हिंदी
Firqa-parasti ka challenge | Shaahi Shayari
firqa-parasti ka challenge

Nazm

Firqa-parasti ka challenge

Nazeer Banarasi

;

taqat ho kisi mein to miTae meri hasti
Dain hai mera nam laqab firqa-parasti

main ne baDi chaalaki se ek kaam kiya hai
pahle hi mohabbat ka gala ghunT diya hai

main fitne uTha deti hun har uThte qadam se
is desh ke TukDe bhi hue mere hi dam se

sarmaya-paraston ne janam mujh ko diya hai
mazhab ke tassub ne mujhe god liya hai

hai mulk ki taqsim laDakpan ki kahani
us waqt to bachpan tha mera ab hai jawani

ghabraata hai shaitan meri taqrir ke fan se
main zahr ugalti hun zaban ban ke dahan se

darkar hua jab bhi mujhe KHun ziyaada
main aa gai oDhe hue mazhab ka libaada

main desh ki qattala hun aur sab se baDi hun
bachchon ki bhi gardan pe chhuri ban ke chali hun

goli ko sikha deti hun chalne ka qarina
main chhed ke rakh deti hun mazlum ka sina

har sukhe hue honT se leti hun tari main
dam toDne walon ki uDati hun hansi main

masumon ke man bap ka sar main ne liya hai
bachchon ko yatimi ka laqab main ne diya hai

hindu ka lahu ho ki musalman ka lahu ho
matlab hai lahu se kisi insan ka lahu ho

mil jae to main kis ka lahu pi nahin sakti
majbur hun be KHun piye ji nahin sakti

har firqe ke logon ka lahu chaT rahi hun
faslon ki tarah sab ke gale kaT rahi hun

jis waqt jahan chahun wahan aag laga dun
jis basti ko chahun use virana bana dun

jis shahr ko phunka na makin the na makan tha
uThta hua kuchh der agar tha to dhuan tha

gulshan mere hathon yunhi taraj rahega
main zinda rahungi to mera raj rahega

taqat ho kisi mein to miTae meri hasti
Dain hai mera nam laqab firqa-parasti