firing ho rahi hai
firing ho rahi hai
cricket khelte hue bachche
shor machate hain
magar ghar mein nahin jate
jaise firing ek jadid lok git hai
jis ki dhun par
shor machate dauDte hue
cricket kheli ja sakti hai
ya phir
bachchon ginti sikhane ka
koi naya tariqa
wo rozana ek se das
das se sau
aur phir baghair ruke sau se hazar tak ja pahunche hain
magar firing band nahin hoti
wo musalsal jari rahti hai
hamein pata chalta hai
bahut mamuli wajh se
firing hoti rahti hai
do dost ek chiDiya ko
kapDe se bani ek Dari hui chiDiya ko marne ke liye nishana bazi ki mashq kar rahe the
ya do bhai chhat par rakhe hue
ghi ke KHali Dibbon sharbat ki botalon ko
aasani se niche lana chah rahe the
ya diwar par chipke hue
pachas paise ke khoTe sikke ko
zamin par girane ke liye
itni goliyan chalain gain
ki log Dar gae
unhen Darna nahin chahiye
hum kahte hain itni chhoTi baaton par
unhen Darna nahin chahiye
firing to aaghaz hai
kachhwe aur KHargosh ki dauD ka
chuhe aur billi ke muqable ka
agar aap use mausiqi samajhte hain
to phir puri tarah us se lutf-andoz hun
shor samajhte hain
to apne kanon mein rui Thuns len
dastak samajhte hain
to apne ghar ka darwaza
dil ki tarah band rakhen
aur jab tak
firing ho rahi hai
bahar na niklen
Nazm
Firing
Zeeshan Sahil