اردو हिंदी
Fikr | Shaahi Shayari
fikr

Nazm

Fikr

Asrar-ul-Haq Majaz

;

nahin har chand kisi gum-shuda jannat ki talash
ek na ek KHuld-e-tarab-nak ka arman hai zarur

bazm-e-doshamba ki hasrat to nahin hai mujh ko
meri nazron mein koi aur shabistan hai zarur

miT ke barbaad-e-jahan ho ke sabhi kuchh kho ke
baat kya hai ki ziyan ka koi ehsas nahin

kar-farma hai koi taza junun-e-tamir
dil-e-muztar abhi amag-gah-e-yas nahin

taza-dam bhi hun magar phir ye taqaza kyun hai
hath rakh de mere mathe pe koi zohra-jabin

ek aaghosh-e-hasin shauq ki meraj hai kya
kya yahi hai asar-e-nala-e-dil-ha-e-hazin

mah-washon ka tarab-angez tabassum kya hai
hai to sab kuchh ye magar KHwab asar kyun ho jae

husn ki jalwa-gah-e-naz ka afsun taslim
yahi qurban-gah-e-arbab-e-nazar kyun ho jae

main ne socha tha ki dushwar hai manzil apni
ek hasin bazu-e-simin ka sahaara bhi to hai

dasht-e-zulmat se aaKHir ko guzarna hai mujhe
koi raKHshanda o tabinda sitara bhi to hai

aag ko kis ne gulistan na banana chaha
jal bujhe kitne KHalil aag gulistan na bani

TuT jaana dar-e-zindan ka to dushwar na tha
KHud zuleKHa hi rafiq-e-mah-e-kanan na bani

ba-in inam-e-wafa uf ye taqaza-e-hayat
zindagi waqf-e-gham-e-KHak-nashinan kar de

KHun-e-dil ki koi qimat jo nahin hai to na ho
KHun-e-dil nazr-e-chaman-bandi-e-dauran kar de