tajjub mein hun dekh kar rang-e-alam
ilahi ye kya aa gaya hai zamana
na pahli si wo mehr-o-ulfat ki baaten
na agla sa chahat ka wo kar-KHana
jidhar dekhiye bas tassub, jihaalat
jahan jaiye sirf laDna laDana
jo talim deta hai jang-o-jadal ki
wo hai intihai KHirad-mand-o-dana
jo talqin karta hai sulh-o-safa ki
wo hai tir-e-zajr-o-jafa ka nishana
na malum kab ye jihaalat miTegi
kab aaega aish-o-KHushi ka zamana
milenge gale kab baham milne wale
bajaega iqbaal kab shadiyana
bas ab chhoD do ye ziden warna yaro
jahan mein hai mushkil tumhaara Thikana
rahoge yunhi paemal-e-jafa tum
rahega yahi rose rona-rulana
natija ye hoga ki ban jaoge tum
fana ho ke ek ibraton ka fasana
ye sab barkaten ahl-e-england ki hain
karo jald unhen ab yahan se rawana
Nazm
Fasana-e-ibrat
Ahmaq Phaphoondvi