darida-pairahani kal bhi thi aur aaj bhi hai
magar wo aur sabab tha ye aur qissa hai
ye raat aur hai wo raat aur thi jis mein
har ek ashk mein sarangiyan si bajti thin
ajib lazzat-e-nazzara thi hijab ke sath
har ek zaKHm mahakta tha mahtab ke sath
yahi hayat-e-gurezan baDi suhani thi
na tum se ranj na apne se bad-gumani thi
shikayat aaj bhi tum se nahin ki mahrumi
tumhaare dar se na milti to ghar se mil jati
tumhaara ahd agar ustuwar hi hota
to phir bhi daman-e-dil tar tar hi hota
KHud apni zat hi naKHun KHud apni zat hi zaKHm
KHud apna dil rag-e-jaan aur KHud apna dil nashtar
fasad-e-KHalq bhi KHud aur fasad-e-zat bhi KHud
safar ka waqt bhi KHud jangalon ki raat bhi KHud
tumhaari sang-dili se KHafa nahin hote
ki hum se apne hi wade wafa nahin hote
Nazm
Fasad-e-zat
Mustafa Zaidi