farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo diwane hon
farz karo ye donon baaten jhuTi hon afsane hon
farz karo ye ji ki bipta ji se joD sunai ho
farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupai ho
farz karo tumhein KHush karne ke DhunDhe hum ne bahane hon
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke mai-KHane hon
farz karo ye rog ho jhuTa jhuTi pit hamari ho
farz karo is pit ke rog mein sans bhi hum par bhaari ho
farz karo ye jog ba-jog ka hum ne Dhong rachaya ho
farz karo bas yahi haqiqat baqi sab kuchh maya ho
dekh meri jaan kah gae bahu kaun dilon ki jaane 'hu'
basti basti sahra sahra lakhon karen diwane 'hu'
jogi bhi jo nagar nagar mein mare mare phirte hain
kasa liye bhabut ramae sab ke dware phirte hain
shair bhi jo miThi bani bol ke man ko harte hain
banjare jo unche damon ji ke saude karte hain
in mein sachche moti bhi hain, in mein kankar patthar bhi
in mein uthle pani bhi hain, in mein gahre sagar bhi
gori dekh ke aage baDhna sab ka jhuTa sachcha 'hu'
Dubne wali Dub gai wo ghaDa tha jis ka kachcha 'hu'
Nazm
Farz karo
Ibn e Insha