musahib-e-shah se kaho ki
faqih-e-azam bhi aaj tasdiq kar gae hain
ki fasl phir se gunahgaron ki pak gai hai
huzur ki jumbish-e-nazar ke
tamam jallad muntazir hain
ki kaun si had janab jari karen
to tamil-e-bandagi ho
kahan pe sar aur kahan pe dastar utarna ahsan-ul-amal hai
kahan pe hathon kahan zabanon ko qata kijiye
kahan pe darwaza rizq ka band karna hoga
kahan pe aasaishon ki bhukon ko mar dije
kahan baTegi luan ki chhuT
aur kahan par
rajm ke ahkaam jari honge
kahan pe nau sala bachchiyan chahal sala mardon ke sath
sangin mein pirone ka hukm hoga
kahan pe iqbaali mulzimon ko
kisi tarah shak ka faeda ho
kahan pe masum dar par khinchna paDega
huzur ahkaam jo bhi jari karenge
faqat iltija ye hogi
ki apne irshad-e-aliya ko
zabani rakhen
wagarna
qanuni uljhanen hain!
Nazm
Farogh farruKH-zad ke liye ek nazm
Parveen Shakir