اردو हिंदी
Farman-e-KHuda | Shaahi Shayari
farman-e-KHuda

Nazm

Farman-e-KHuda

Allama Iqbal

;

uTTho meri duniya ke gharibon ko jaga do
kaKH-e-umra ke dar o diwar hila do

garmao ghulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-faromaya ko shahin se laDa do

sulatani-e-jamhur ka aata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aae miTa do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jala do

kyun KHaliq o maKHluq mein hail rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se uTha do

haq ra ba-sajude sanaman ra ba-tawafe
behtar hai charagh-e-haram-o-dair bujha do

main na-KHush o be-zar hun marmar ki silon se
mere liye miTTi ka haram aur bana do

tahzib-e-nawi kargah-e-shishagaran hai
aadab-e-junun shair-e-mashriq ko sikha do