tum meri khoj mein
yun hi tarik ghaaron maThon mabadon KHanqahon mein
ghuT ghuT ke mar jaoge
main nahin mil sakunga tumhein ab kabhi
dharm mein singh mein dhyan mein gyan mein
nile sagar ki tah mein utar kar
brazil ke jangalon mein bhaTak kar
himala ki choTi pe chaDh kar
mujhe tum na aawaz do
pas ko tyag kar
aas ke baam par
meri aamad ke lekin raho muntazir
main zarur aaunga
sukh kar waqt jis din tuDa jaega
dudh ki tarah aakash phaT jaega
din ke TukDe zamin par bikhar jaenge
raat ke sar ka har baal jhaD jaega
chand suraj sama jaenge jab mere garbh mein
aur sara ujala pighal kar andhere mein bah jaega
bas usi waqt tum hanpte kanpte
nisf lamhe ko hathon mein pakDe hue
KHauf ke kiwaDe se jhank kar dekh loge mujhe
aur main
munh se ek qahqaha thuk kar
saur-mandal se bahar nikal aaunga
is dharaatal ko kha lunga
sare samundar ko pi jaunga
aur phir dekhte dekhte
oxigen mein tabdil ho jaunga
in KHalaon ke sagar mein kho jaunga
Nazm
Farjam
Sadiq