اردو हिंदी
Fariyaadi matam | Shaahi Shayari
fariyaadi matam

Nazm

Fariyaadi matam

Aashufta Changezi

;

KHuda-e-lam-yazal ki bargah mein
sar-ba-sujud!

ana ki chaukhaTon mein juDe chehron wale log
peshaniyon par ghaTTe Dalne mein masruf hain

aaTe mein sani muTThiyan
un ki baKHshish ki zamanat hain

ye kaun si jannat-e-naim hai
jis ka rasta

chiyunTiyon ki banabi se ho kar guzarta hai
darbanon aur kutton ko khuli aazadi hai

'jagte raho' ki sadaen
inayaton ka KHiraj wasul karte nahin thakti hain

circus ka panDal khacha-khach bhara hai
maimanon ke baDe mein

sahama-dubka…ghas khata sher
kaisa be-zarar dikhai deta hai

baunon ki uchhal-kud
falak-shagaf qahqahe…musalsal qahqahe

taliyon ki gunj!
mahal-sara ke band phaTak ko chhu kar lauT aati hai

basti ke jahan-dida buDhe
fariyaadi matam karte

panDal se rawana ho jate hain