kahan ho 'ghaalibo' 'miro' 'naziro'
kahan ho meri zulfon ke asiro
meri sahba ke paimano, kahan ho
kahan ho mere diwano kahan ho
kahan ho aalimo masnad-nashino
mere KHwan-e-ata ke reza-chino
sila kuchh to wafa ka do kahan ho
kahan ho mere shahzado kahan ho
kahan ho ai mere dar ke gadao
kam-az-kam apni surat to dikhao
ki mein lachaar ho kar rah gai hun
bahut bimar ho kar rah gai hun
kahan ho ai qalam-karo, jiyalo
mujhe kursi-nashinon se bacha lo
ye mujh se dur hote ja rahe hain
bahut maghrur hote ja rahe hain
meri roTi pe hota hai guzara
magar chhoDa hai mujh ko be-sahaara
sila apni wafa ka pa chuki hun
mein un ke ghar se randi ja chuki hun
haqiqat hai ki mein us ki amin hun
ye ghar mera hai lekin main nahin hun
mere hi nam se ohda mila hai
mere sadqe mein in ka tantana hai
magar ye mujh ko khate ja rahe hain
meri hasti miTate ja rahe hain
suhagan thi abhagan ho gai hun
mein dar dar ki bhikaran ho gai hun
Nazm
Fariyaad (fariyaadi aashna hai)
Qaisar Siddiqi