us se milna to is tarah kahna
tujh se pahle meri nigahon mein
koi rup is tarah na utra tha
tujh se aabaad hai KHaraba-e-dil
warna main kis qadar akela tha
tere honTon pe kohsar ki os
tere chehre pe dhup ka jadu
teri sanson ki thartharahaT mein
konpalon ke kunwwar ki KHushbu
wo kahegi ki in KHitabon se
aur kis kis pe jal Dale hain
tum ye kahna ki pesh-e-saghar-e-jam
aur sab miTTiyon ke pyale hain
aisa karna ki ehtiyat ke sath
us ke hathon se hath Takrana
aur agar ho sake to aankhon mein
sirf do-chaar ashk bhar lana
ishq mein ai mubassirin-e-kiram
yahi taknik kaam aati hai
aur yahi le ke Dub jati hai
Nazm
Farhad
Mustafa Zaidi