bhigi bhigi si hawaen, mahka mahka sa chaman
chand ki pighli hui chandi se dharti sim-tan
shaKH ke niche pari-paikar sa koi KHanda-zan
champai ruKHsar, lab rangin, gulabi pairahan
main ne ye samjha ki tum ho, tum na the wo phul tha
dhire dhire chehra-e-simin se sarkata naqab
raat mai-KHane ke ek goshe se ubhra mahtab
phul bikhraata tabassum rang barsata shabab
nind ki tarsi hui aankhon pe Tapkata sharab
main ne ye samjha ki tum ho tum na the, wo jam tha
shab ke sine par andheron ki chaTanen thin dhari
na-gahan baadal se nikli, muskuraati ek pari
sim-gun matha, rupahla jism mang afshan bhari
dekh kar sine mein ThanDak aae aankhon mein teri
main ne ye samjha ki tum ho tum na the wo chand tha
dur taron se jahan milti hai sham-e-rahguzar
ab bhi do parchhaiyan paDti hain jis ki KHak par
jis jagah mil kar gale chhuTe the hum ba-chashm-e-tar
bar-ha koi mujhe hansta hua aaya nazar?
main ne ye samjha ki tum ho, tum kahan the wahm tha
husn-e-simin se fazaon mein ujala sa kiye
nashsha-e-ahd-e-jawani se pareshan, be-piye
surKH aankhon mein jalae sham-e-masti ke diye
koi mere pas aaya, hath mein saghar liye
main ne ye samjha ki tum ho, tum kahan the, KHwab tha
Nazm
Fareb-e-nazar
Shamim Karhani