naujawan kaun hai to
aaya hai kis nagri se
nam kya hai tera
kya kaam hai aaKHir mujh se
main samajhta hun ki is waqt munasib nahin aana tera
tu ne kis zoam mein is waqt pukara hai mujhe
tu ne kya soch ke dastak di hai
aaj ki shab mere soe hue darwaze par
naujawan kaun hai tu
naujawan jo bhi hai tu
faisla soch samajh kar ye kya hai main ne
lakh dastak koi de aaj ki raat
ghar ka darwaza kisi par bhi na ab kholunga
chahe mehman ho ya koi hawa ka jhonka
sach to ye hai ki mujhe
ab to un taza hawaon se bhi Dar lagta hai
naujawan Thik sahi
to mujhe jaanta hai main bhi tujhe jaanta hun
thi mulaqat teri aur meri aaj se barson pahle
lekin ab us ka ye matlab to nahin
tu samajh kar mujhe ham-umr apna
jab bhi chahe mere darwaze pe de kar dastak
ratjage mil ke manane ke liye
mujh ko bulane aa jae
ja miyan aur kahin mujh ko pareshan na kar
Nazm
Farar ki pahli raat
Qateel Shifai