ye KHairaat hi ki karamat hai aaqa
ye parde haTa de
baDe baadshahon ki sangat hai
salana KHairaat ka moamla hai
to tamghe saja mere aaqa teri haziri hai
wo tamghe jo mashriq ke malbus par tanz hain
wo tamghe jihadon ke jin ke patte jel-KHanon mein fariyaad-KHwan hain
wo jangen nishan jin ke sarhad ke andar kahin dafan hain
ye KHairaat hi ki karamat hai
utran se manus mahaul mein
rit aisi chali hai ki har marhale fikr mein
sirf imdad imdad ki guDguDati sada hai
har ek fard KHairaat ke shauq mein sargiran hai
ye parde haTa mere aaqa
ki tu bhi faqir aur main bhi
Nazm
Faqiron ki basti
Abrarul Hasan