faqiri mein bhi KHush-waqti ke
kuchh saman faraham the
KHayalon ke bagule
muztarib jazbon ke hangame,
talatum bahr-e-hasti mein
tamawwuj-e-ruh ke ban mein,
ajab aftan o KHizan marhale pahnai shab ke,
taDap gham-ha-e-hijran ki
larazti aarzu didar-e-jaanan ki
adam-abaad ke sahra mein ek zarra
ki misl-e-qatra-e-simab larzida
sadaf mein zehn ke jun
ghauhar-e-kamyab poshida
dil-e-sad-para
ju-e-gham
larazti kashti-e-ehsas
jahan-bini ka dil mein azm-e-duzdida
faqiri mein yahi asbab-e-hasti tha yahi dard-e-tah-e-jam-e-tamanna tha
yahi saman bacha lete to achchha tha
faqiri mein magar ye kaun si uftad aai hai
ki saman luT gaya rahon mein kasa dil ka KHali hai
Nazm
Faqiri mein
Sajida Zaidi