faqat hisse ki KHatir
kaT gai ye zindagi milad sunne mein
bila jaane ki hissa hai to kaisa aur kitna
ye sab aasan nahin tha
gulab aur itr se bhaari faza mein sans lena
der tak aasan nahin tha
na aasan tha samajhne ki adakari bhi karna
us zaban ko
jis se main na-ashna tha aur wo bhi ba-adab rah kar
bahut bhaari tha bele ka wo gajra
jo pahnaya gaya tha mujh ko agli saf mein baiThane se pahle
han saza jaisa tha mera baiThna us saf mein
jis mein ek bhi bachcha nahin tha
aur jahan se dur thin sab chilmanen
aur un se chhanti raunaqen
ye sab qurbaniyan de kar agar hisse ki KHwahish hai mujhe to kya ghalat hai
mere hisse ki KHwahish par hanso mat
mera hissa to pakka hai agar main so bhi jaun
KHuda ko sab pata hai
Nazm
Faqat hisse ki KHatir
Shariq Kaifi