main ne jo git tere pyar ki KHatir likkhe
aaj un giton ko bazar mein le aaya hun
aaj dukkan pe nilam uThega un ka
tu ne jin giton pe rakhi thi mohabbat ki asas
aaj chandi ke taraazu mein tulegi har chiz
mere afkar meri shairi mera ehsas
jo teri zat se mansub the un giton ko
muflisi jins banane pe utar aai hai
bhuk tere ruKH-e-rangin ke fasanon ke ewaz
chand ashiya-e-zarurat ki tamannai hai
dekh is arsa-e-gah-e-mehnat-o-sarmaya mein
mere naghme bhi mere pas nahin rah sakte
tere jalwe kisi zardar ki miras sahi
tere KHake bhi mere pas nahin rah sakte
aaj un giton ko bazar mein le aaya hun
main ne jo git tere pyar ki KHatir likkhe
Nazm
Fankar
Sahir Ludhianvi