jab mujhe ye KHayal aata hai
ek fankar mar nahin sakta
us ki taKHliq zinda rahti hai
us ka kirdar mar nahin sakta
yaad aate hain mujh ko wo fankar
zindagi-bhar jo zahar pi ke jiye
gham ki taswir ban ke zinda rahe
dahr-e-fani mein apne fan ke liye
aur is dahr ke nikammon ne
un ki rahon mein KHar bikhrae
jab ye dasht-e-junun mein aur baDhe
un ke daman ke tar uljhae
lakh roka unhen zamane ne
chal diye jis taraf chalte rahe
chand rahen nikal kar apni
jawedan apna nam karte rahe
aaj duniya ke is andhere mein
jal rahe hain wahi charagh jinhen
aandhiyon ne jalaya tha ek rose
zindagi ki hasin rahon mein
ek fankar hai charagh wahi
jis ko koi bujha nahin sakta
jagti jagmagati rahon se
koi jis ko haTa nahin sakta
ban ke fankar sochta hun main
apni hasti ko jawedan kar lun
raaz apna bata ke duniya ko
sari duniya ko raazdan kar lun
maut aae to us se hans ke kahun
main hun fankar mar nahin sakta
meri taKHliq zinda rahti hai
mera kirdar mar nahin sakta
Nazm
Fankar aur maut
Fareed Ishrati