اردو हिंदी
Fana | Shaahi Shayari
fana

Nazm

Fana

Nazeer Akbarabadi

;

duniya mein koi shad koi dard-nak hai
ya KHush hai ya alam ke sabab sina-chaak hai

har ek dam se jaan ka har-dam tapak hai
napak tan palid najis ya ki pak hai

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
hai aadmi ki zat ka us ja baDa zuhur

le arsh ta-ba-farsh chamakta hai jis ka nur
guzre hai un ki qabr pe jab wahsh aur tuyur

ro ro yahi kahe hai har ek qabr ke huzur
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai

duniya se jab ki ambiya aur auliya uThe
ajsam-e-pak un ke isi KHak mein rahe

ruhen hain KHub jaan mein ruhon ke hain maze
par jism se to ab yahi sabit hua mujhe

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hain
wo shaKHs the jo sat wilayat ke baadshah

hashmat mein jin ki arsh se unchi thi bargah
marte hi un ke tan hue galiyon ki KHak-e-rah

ab un ke haal ki bhi yahi baat hai gawah
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai

kis kis tarah ke ho gae mahbub-e-kaj-kulah
tan jin ke misl-e-phul the aur munh bhi rashk-e-mah

jati hai un ki qabr pe jis-dam meri nigah
rota hun jab to main yahi kah kah ke dil mein aah

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
wo gore gore tan ki jinhon ki thi dil mein jae

hote the maile un ke koi hath gar lagae
so waise tan ko KHak bana kar hawa uDae

rona mujhe to aata hai ab kya kahun main hae
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai

umdon ke tan ko tanbe ke sanduq mein dhara
muflis ka tan paDa raha maTi-upar paDa

qaem yahan ye aur na sabit wo wan raha
donon ko KHak kha gai yaro kahun mein kya

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
gar ek ko hazar rupe ka mila kafan

aur ek yun paDa raha hai be-kas barhana-tan
kiDe makoDe kha gae donon ke tan-badan

dekha jo hum ne aah to sach hai yahi suKHan
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai

jitne jahan mein nach hain kangni se ta-gehun
aur jitne mewa-jat hain tar KHushk gunagun

kapDe jahan talak hain sapida o siyah numun
kim-KHwab tash baadila kis kis ka nam lun

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
jitne daraKHt dekho ho buTe se ta-ba-jhaD

baD pipal aanb nib chhuara khajur taD
sab KHak honge jab ki fana Dalegi ukhaD

kiya buTe DheDh pat ke kya jhaD kya pahaD
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai

jitna ye KHak ka hai tilismat ban raha
phir KHak us ko hota hai yaro juda juda

tarkari sag pat zahr amrit aur dawa
zar sim kauDi lal zamurrad aur in sawa

jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
gaDh coat top rahakla tegh o kaman-o-tir

bagh-o-chaman mahall-o-makanat dil-pazir
hona hai sab ko aah isi KHak mein KHamir

meri zaban pe ab to yahi baat hai 'nazir'
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai