mehrbani raat ka pahla pahar hai
subh-e-zindan ki halakat
sham wahshat-gar ki maut
wajibuttazim hai wo shaKHs jo pahle mara
KHisht se kuza ghanimat
kuza-e-wahshat se wahshat-gar ki KHak
KHak se aab-e-namak
barishon mein main namak ka ghar banaun
barf-bari mein purane bans ka
tasht mein sindur chhide sikke saja kar beach raste par rakhun
raat ke kohre mein khiDki khol kar dekhun use
subh tak murda parinde
dopahar tak us ke hone ka guman
sham phir kohra khuli khiDki parinde
us ke aangan ki wahi ham-saegi
wo nahin marta jo pichhli raat tak jaga kiya
mehrbani raat ka pahla pahar hai
laDkiyon ne ghas par nazmen likhin
pasi ke maTke toD Dale
aanganon mein git gae ghar gain
bashon mein dhup si us aankh ne dekha mujhe
kis ko jangal chahiye kis ko samundar chahiye
ye haya-alud sham
khiDkiyon se khiDkiyon tak jhilmilati ja rahi hai
qissa-gar zindan se chal kar aae hain
aanganon ko saf kar lo
laDkiyon ko sham ka khana khila do
sham se pahle sula do
wahshaton ki nind kachchi aankh ko zeba nahin
sham KHwab-e-qissa-gar hai qissa-e-zindan-e-sham
mehrbani raat ka pahla pahar hai
Nazm
Fana ke liye ek nazm
Mohammad Anvar Khalid