bahut narm-o-nazuk
hasin pankh wali
pareshan titli
kabhi patte chhu kar
kabhi chum kar phul
rah-e-baqa DhunDne mein lagi thi
kiran aaftabi thi deti dilasa
hawa bhi thapakti thi
shafqat se us ko
ki itne mein insan-zada koi
chupke se apni chuTki mein le kar
baDe pyar se
is hasin pankh wali
pareshan titli ko
dikhla gaya hai
fana ka ilaqa
Nazm
Fana ka ilaqa
Jafar Sahni