اردو हिंदी
Fan | Shaahi Shayari
fan

Nazm

Fan

Ahmad Nadeem Qasmi

;

ek raqqasa thi kis kis se ishaare karti
aankhen pathrai adaon mein tawazun na raha

Dagmagai to sab atraf se aawaz aai
fan ke is auj pe ek tere siwa kaun gaya

farsh-e-marmar pe giri gir ke uThi uTh ke jhuki
KHushk honTon pe zaban pher ke pani manga

ok uThai to tamashai sambhal kar bole
raqs ka ye bhi ek andaz hai allah allah

hath phaile hi rahe sil gai honTon se zaban
ek raqqas kisi samt se nagah baDha!

parda sarka to man fan ke pujari garje
raqs kyun KHatm hua? waqt abhi baqi tha