(1)
main jahan par bhi gaya arz-e-watan
teri tazlil ke daghon ki jalan dil mein liye
teri hurmat ke charaghon ki lagan dil mein liye
teri ulfat teri yaadon ki kasak sath gai
tere naranj shagufon ki mahak sath gai
sare an-dekhe rafiqon ka jilau sath raha
kitne hathon se ham-aghosh mera hath raha
dur pardes ki be-mehr guzargahon mein
ajnabi shahr ki benam-o-nishan rahon mein
jis zamin par bhi khila mere lahu ka parcham
lahlahata hai wahan arz-e-filistin ka alam
tere aada ne kiya ek filistin barbaad
mere zaKHmon ne kiye kitne filistin aabaad
Nazm
Falastini shohda jo pardes mein kaam aae
Faiz Ahmad Faiz