اردو हिंदी
Falastini bachche ke liye lori | Shaahi Shayari
falastini bachche ke liye lori

Nazm

Falastini bachche ke liye lori

Faiz Ahmad Faiz

;

(2)
mat ro bachche

ro ro ke abhi
teri ammi ki aankh lagi hai

mat ro bachche
kuchh hi pahle

tere abba ne
apne gham se ruKHsat li hai

mat ro bachche
tera bhai

apne KHwab ki titli pichhe
dur kahin pardes gaya hai

mat ro bachche
teri baji ka

Dola parae des gaya hai
mat ro bachche

tere aangan mein
murda suraj nahla ke gae hain

chandarma dafna ke gae hain
mat ro bachche

ammi, abba, baji, bhai
chand aur suraj

tu gar roega to ye sab
aur bhi tujh ko rulwaenge

tu muskaega to shayad
sare ek din bhes badal kar

tujh se khelne lauT aaenge