ek roz main ne apni muannas se ye kaha
begam mushaere ko main aaya hun luT kar
boli ki mal luT ka jaldi se dijiye
taki use pakaun abhi pis kuT kar
biwi ki kor-magzi pe bola bigaD ke main
ai ahmaqullazi tu na shaer ko huT kar
to faKHr-e-jahilan hai tujhe kya bataun main
dad-e-suKHan sabhi ne mujhe di hai chhuT kar
boli wo sar ko piT ke aaankhon ko kar ke lal
bijli gire ghazab ki tere sar pe TuT kar
faqe paDe hain ghar mein tujhe faKHr-e-dad hai
aur itna kah ke rone lagi phuT phuT kar
Nazm
FaKHr-e-jahilan
Asrar jaamayee