ab na zanjir khaDakne ki sada aaegi
zindan mahkega na ab baad-e-saba aaegi
ek ek phul ke murjhae hue chehre par
rang bikhrenge na khilta hua mausam koi
KHar ke sine mein chubhta hua phir gham koi
aandhi phir tez hai taron ko bujha de na kahin
raat ghanghor hai suraj ko chhupa de na kahin
aur ab shola-e-jaan se bhi na uTThega dhuan
tirgi mein teri sanson ka ujala bhi kahan
chashm-e-nargis mein lahu-rang hai shabnam shayad
aur sayyaad ka daman bhi to hai nam shayad
Nazm
Faiz
Adil Mansuri