tum ne faslon ki baat samajh li to tumhein yaad aaega
ki fana hum sab ki taqdir hai
tumhein malum hai? tumhaare
ghar ki siDhiyan chaDhte hue main ne hazar bar
chup-chap
zine ki safed diwaron pe ungliyan pheri hain
is ummid mein ki shayad lams ke
aise zaiqe wahan rah jaen jo tum hamesha
badan ke gunjalak aur be-lafz
zaiqon ki tarah pahchan sako
aur yaad rakho
ab samajh mein aane laga hai
ki koi nazm kabhi ishq aur dard ki asl zaruriyat
puri nahin karti
ki ishq maut ke KHilaf hathiyar nahin
ki hamare lafz hamare maqasid se na-ashna hain
ki mujhe chahat us shaKHs ki hai jo tum ho
ki main mukammal taur pe tumhein
kabhi na jaan paunga
aur tum ne ye tamam muddat
KHud apne mafhum ki talash mein sulagte pighalte
guzari hai
Nazm
Faslon ki baat
Ejaaz Ahamd Ejaaz