اردو हिंदी
Fasle | Shaahi Shayari
fasle

Nazm

Fasle

Amjad Islam Amjad

;

ab wo aankhon ke shagufe hain na chehron ke gulab
ek manhus udasi hai ki miTti hi nahin

itni be-rang hain ab rang ki KHugar aankhen
jaise is shahr-e-tamanna se koi rabt na tha

jaise dekha tha sarab
dekh leta hun agar koi shanasa chehra

ek lamhe ko use dekh ke ruk jata hun
sochta hun ki baDhun aur koi baat karun

us se tajdid-e-mulaqat karun
lekin us shaKHs ki manus gurezan nazren

mujh ko ehsas dilati hain ki ab us ke liye
main bhi anjaan hun, ek aam tamashai hun

rah chalte hue in dusre logon ki tarah