zinda-bash ai inqalab ai shola-e-fanus-e-hind
garmiyan jis ki farogh-e-manqal-e-jaan ho gain
bastiyon par chha rahi thin maut ki KHamoshiyan
tu ne sur apna jo phunka mahsharistan ho gain
jitni bunden thin shahidan-e-watan ke KHun ki
qasre-azadi ki aaraish ka saman ho gain
marhaba ai nau-giraftaran-e-bedad-e-farang
jin ki zanjiren KHarosh-afza-e-zindan ho gain
zindagi un ki hai din un ka hai duniya un ki hai
jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurban ho gain
Nazm
Fanus-e-hind ka shoala
Zafar Ali Khan