main ne logon se bhala kya sikha
yahi alfaz mein jhuTi sachchi
baat se baat milana dil ki
be-yaqini ko chhupana sar ko
har ghabi kund-zehn shaKHs ki KHidmat mein jhukana hansna
muskuraate hue kahna sahab
zindagi karne ka fan aap se behtar to yahan koi nahin jaanta hai
guftugu kitni bhi majhul ho matha hamwar
kan bedar rahen aankhen nihayat gahri
soch mein Dubi hui
falsafi aise kitabi ya zabani mano
us se pahle kabhi insan ne dekhe ne sune
un ko batla do yahi baat wagarna ek din
o ruh din bhi bahut dur nahin
tum nahin aaoge ye log kahenge jahil
baat karne ka saliqa hi nahin jaanta hai
kya tumhein KHauf nahin aata hai
KHauf aata hai ki logon ki nazar se gir kar
hazra daur mein ek shaKHs jiye to kaise
shahr mein lakhon ki aabaadi mein
ek bhi aisa nahin
jis ka iman kisi aise wajud
aisi hasti ya haqiqat ya hikayat par ho
jis tak
hazra daur ke jibrail ki yani aKHbar
dastaras na ho rasai na ho
main ne logon se bhala kya sikha
buzdili aur jahaalat ki faza mein jina
daimi KHauf mein rahna kahna
sab barabar hain hujum
jis taraf jae wahi rasta hai
main ne logon se bhala kya sikha
Nazm
Apne aap se
Zahid Dar