baad-o-baran se ulajhta KHanda-zan girdab par
ek jazira tairta jata hai sath-e-ab par
gum kai sadiyon ka us mein jazba-e-tahqiq hai
ye jazira aadmi ke zehn ki taKHliq hai
ja raha hai har ghaDi maujon se Takraata hua
apne hi andaz mein apna rajaz gata hua
bahr ki amwaj par bahte hue shahr-e-jamil
har qadam tera liye hai teri azmat ki dalil
aandhiyon ka zor, maujon ki rawani tujh mein hai
irtiqa-e-zehn-e-insan ki kahani tujh mein hai
har bhanwar mein aur har tufan mein sahil hai tu
sina-e-imroz-o-farda ka dhaDakta dil hai tu
to tajalli hi tajalli hai andheri raat mein
raushni ka hai manara aalam-e-zulmat mein
raat aai jag uTha insan ka zauq-e-be-bisat
aaKHiri is ka Thikana mard o zan ka iKHtilat
kis qadar arzan hue tahzib ke lamat-e-nur
allah allah chaar jaanib raushni ka ye wafur
is tarah se main ne kab dekhi thi mai-KHane mein dhum
auraton mardon ka laDkon laDkiyon ka ye hujum
sab nashe mein mast hain lekin hain kitne ba-KHabar
phir rahe hain sab ke sab ek dusre ko tham kar
ahmarin saghar, lab-e-lalin, nigahen mai-farosh
har taraf hai ek masti, har taraf hai ek KHarosh
is jagah idrak se begana koi bhi nahin
sab hain farzane yahan diwana koi bhi nahin
aql ki is bazm mein diwangi ka kaam kya
DhunDhta hai tu yahan aa kar dil-e-nakaam kya
itni aagahi kisi ko ho ye mohlat hi nahin
kis ki bahen kis ki gardan mein hamail ho gain
aa ke aaghosh-e-hawas mein KHud yahan girta hai husn
kis qadar kachche sahaare DhunDhta phirta hai husn
jis se KHira teri aankhen hain chamak europe ki hai
dekh ai 'azad'! ye pahli jhalak europe ki hai
Nazm
Europe ki pahli jhalak
Jagan Nath Azad