اردو हिंदी
Etizar | Shaahi Shayari
etizar

Nazm

Etizar

Ada Jafri

;

tum samajhti ho ye gul-dan mein hanste hue phul
meri afsurdagi-e-dil ko miTa hi denge

ye hasin phul ki hain jaan-e-gulistan-e-bahaar
mere soe hue naghmon ko jaga hi denge

tum ne dekhi hain damakti hui shamen lekin
tum ne dekhe nahin bujhte hue dipak hamdam

wahi dipak jo nigahon ka sahaara pa kar
ek lamhe ke liye jalte hain bujh jate hain

kabhi ek ashk se dhul jate hain sadiyon ke ghubar
kaenat aur nikhar aur sanwar jati hai

kabhi nakaam tamanna ki sada-e-mubham
qahqaha ban ke fazaon mein bikhar jati hai

TuTte taron ke sangit sune hain tum ne
wo bhi naghme hain jo honTon se gurezan hi rahe

phaDphaDate hue dekhe hain fazaon mein kabhi
wo fasane jo nigahon se bayan ho na sake

kabhi kanTon se bahal jati hai ruh-e-ghamgin
aur masum shagufon ki rasili KHushbu

neshtar ban ke rag-e-jaan mein utar jati hai
han yahi phul yahi jaan-e-gulistan-e-bahaar

nag ban kar kabhi ehsas ko Das lete hain