tum se mil ke
zindagi achchhi lagi
dil ko lekin
is ka andaza nahin
KHwab se bahar nikalne ke liye
mere ghar mein koi darwaza nahin
ek khiDki mein tumhaari yaad hai
aur ek diwar pe wo aaina
jis mein tanhai nazar aati nahin
frame mein taswir
koi git dohraati nahin
mez pe rakkhi hai
nazmon ki kitab
phul ek gul-dan mein
KHamosh hain
subh ke aKHbar ki koi KHabar
tum kahan ho
ye bata sakti nahin
tum jahan ho ab wahan shayad
meri aawaz ja sakti nahin
abr mein Dube sitare
kyun hawa ko
sham ke rangon se bhar sakte nahin?
kya ye sach hai
hum KHushi email kar sakte nahin?
Nazm
Zeeshan Sahil