agar mujhe ek zindagi
aur mil jae
to main apne safar ko
apne asbab ke sath
bandh kar rakhkhun
ek parinde ki tarah
paniyon se Takraati hui
aankh se ojhal ho jaun
ek aise daraKHt ki tarah
jo sari umr
dhup aur chhanw ka maza leta hai
ek aise banjare ki tarah
jo pahaDon aur maidanon ko
apne qadmon ki dhul mein
sameT leta hai
kisi aisi raqqasa ki tarah
jo apne man ka bojh
apne jism par Dal deti hai
kisi aisi jang mein sharik ho kar
jo bhuk aur nafrat ke KHilaf
laDi ja rahi ho
mari jaun
Nazm
Ek zindagi aur mil jae
Azra Abbas