main gaya us taraf
jis taraf nind thi
jis taraf raat thi
band mujh par hue sare dar
sare ghar
main gaya us taraf
jis taraf tir the
jis taraf ghat thi
mujh pe markuz thi ek nigah-e-siyah
aur ajab zawiye se
banae hue thi mujhe
sar se pa tak hadaf
main gaya us taraf
jis taraf ret ki lahr thi
mauj-e-zarraat thi
main nahin jaanta
us ghaDi
tirgi ke tilismat mein
jo ishaara hua
kis ki ungli ka tha
aur jo kholi gai thi mere qalb par
kaun si baat thi
sirf itna mujhe yaad hai
jab main aage baDha
ek zanjir-e-girya mere sath thi
main parinda bana
meri parwaz ke daere ne jana
ek saya ghana
kashf hone laga
main hare paniyon mein
badan ka sitara Dubone laga
aur ek la-tayyun subuk nind sone laga
ek uDan-tashtari ban gai saeban
main jahan tha wahan tha kahan aasman
ek shoala tha bas mere honTon se laf
main gaya us taraf
jis taraf jism-o-jaan ki hawalat thi
jis taraf nind thi
jis taraf raat thi
chaar jaanib bichhi thi bisat-e-adam
darmiyan jis ke
tanha meri zat thi
Nazm
Ek zanjir-e-girya mere sath thi
Rafiq Sandelvi