tum ne dekhi hai kabhi ek zan-e-KHana-ba-dosh
jis ke KHeme se pare raat ki tariki mein
gursana bheDiye ghurraate hain
dur se aati hai jab us ki lahu ki KHushbu
sansanati hain darindon ki hansi
aur danton mein kasak hoti hai
ki karen us ka badan sad-para
apne KHeme mein simaT kar aurat
raat aankhon mein bita deti hai
kabhi karti hai alao raushan
bheDiye dur bhagane ke liye
kabhi karti hai KHayal
tez nukila jo auzar kahin mil jae
to bana le hathiyar
us ke KHeme mein bhala kya hoga
TuTe phuTe hue bartan do-chaar
dil ke bahlane ko shayad ye KHayal aate hain
us ko malum hai shayad na sahar ho pae
sote bachchon pe jamae nazren
kan aahaT pe dhare baiThi hai
han dhyan us ka jo baT jae kabhi
gungunati hai koi bisra git
kisi banjare ka
Nazm
Ek zan-e-KHana-ba-dosh
Fahmida Riaz