inhi sukhe hue maidanon mein
ab jahan dhup ki lahron ke siwa kuchh bhi nahin
sabz lahraate hue khet hua karte the
log aabaad the peDon ki ghani chhanw mein
mahfilen jamti thin afsane sune jate the
aaj viran makanon mein hawa chiKHti hai
dhul mein uDte kitabon ke waraq
kis ki yaadon ke waraq kis ke KHayalon ke waraq
mujh se kahte hain ki rah jao yahin
aur main sochta hun sirf andhera hai yahan
phir hawa aati hai diwani hawa
aur kahti hai: nahin sirf andhera to nahin
yaad hain mujh ko wo lamhe jin mein
log aazad the aur zinda the
aao main tum ko dikhaun wo maqam
ek viran jagah inTon ka ambar nahin kuchh bhi nahin
aur wo kahti hai ye pyar ka markaz tha kabhi
kis ki yaad aae mujhe kis ki batao kis ki!
aur ab chup hai hawa chup hai zamin
bol ai waqt! kahan hain wo log
jin ko wo yaad hain jin ki yaaden
in hawaon mein pareshan hain aaj
Nazm
Ek viran ganw mein
Zahid Dar