donon hathon mein nangi talwaren saunt kar
main andhere par TuT paDa
use TukDe TukDe kar dena chaha
lekin us ne mera har war KHali kar diya
main ne hath mein banduq uTha li
aur us par diwana-war goliyan barsane laga
socha tha, us ka jism chhalni kar Dalunga
lekin us mein ek bhi suraKH na kar saka
phir main ne mishal uTha li
aur ek zabar-dast irada liye aage baDha
chaha tha us ka chehra jhulas dunga
aur use zinda jala kar rakh kar dunga
mujhe yun biphra hua dekh
andhera sahm kar pichhe haT gaya
lekin dusre hi lamhe
us ne zor se phunk mar kar, mishal bujha di
phir main ne ek aur mansuba banaya
chupke chupke ek surang tayyar ki
lekin mujhe guman bhi na tha
ki dyna-might ke fite ko aag dikhane se pahle
andhera surang mein pani bhar dega
aaj meri ruKHsat ka waqt aa pahuncha hai
log!
jab koi nau-jawan, andhere ko lalkare
to tum, use meri misal na dena
Nazm
Ek wasiyyat
Sadiq