ye ji chahta hai ki tum ek nannhi si laDki ho aur hum tumhein god mein le ke apni biTha len
yunhi ciKHo chillao hans do yunhi hath uThao hawa mein hilao hila kar gira do
kabhi aise jaise koi baat kahne lagi ho
kabhi aise jaise na bolenge tum se
kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karo aisi baaten
hamein sarsaraati hawa yaad aae
jo gunjaan peDon ki shaKHon se Takrae dil ko anokhi paheli bujhae magar wo paheli samajh mein na aae
koi sard chashma ubalta hua aur machalta hua yaad aae
jo ho dekhne mein Tapakti hui chand bunden
magar apni had se baDhe to bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar
ye ji chahta hai ki hum aise sagar ki lahron pe aisi hawa se bahaen wo kashti jo bahti nahin hai
musafir ko lekin bahati chali jati hai aur palaT kar nahin aati hai ek gahre sakun se milati chali jati hai
ye ji chahta hai ki hum bhi yunhi chiKHen chillaen hans den yunhi hath uThaen
hawa mein hilaen hila kar gira den
kabhi aise jaise koi baat kahne lage hain
magar tum hamein god mein le ke apni biTha lo
machalne lagen to sambhaalo
kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipaT kar karen aisi baaten
tumhein sarsaraati hawa yaad aae
wahi sarsaraati hawa jis ke miThe fusun se dupaTTa phisal jata hai
wahi sarsaraati hawa jo har anjaan aurat ke bikhre hue gesuon ko
kisi soe jangal pe ganghor kali ghaTa ka naya bhes de kar
jaga deti hai
tumhein sarsaraati hawa yaad aae
hamein sarsaraati hawa yaad aae
ye ji chahta hai
magar apni had se baDhe to har ek shai bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar
wo sagar jo bahte musafir ko aage bahata nahin hai jhakole diye jata hai bas
jhakole diye jata hai
aur phir ji hi ji mein musafir ye kahta hai apni kahani nai to nahin hai
purani kahani mein kya lutf aae
hamein aaj kis ne kaha tha purani kahani sunao
Nazm
Ek thi aurat
Meeraji