'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko
titliyon ke qarib jaane se rokiye
use rokiye ki paDosiyon ke gharon mein jhule paDe hue hain to us se kya
use kya paDi ki kabutaron ko batae kaise hawaen us ki patang chhin ke le gain
'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe
ko titliyon ke qarib jaane se rokiye
kahin yun na ho ki phir ek bar bhari bahaar mein e'tibar ke sare zaKHm mahak uThen
kahin yun na ho ki nae sire se hamare zaKHm mahak uThen
'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko
titliyon ke qarib jaane se rokiye
Nazm
Ek tha raja chhoTa sa
Iftikhar Arif