wo tilismi dopahar thi
sans lete ghas ke maidan mein
sabz miTTi se shuaen ug rahi thin
aur tum kirnon mein
apne thuthne gaDe hue
dandanate phir rahe the
main tumhaari jaan ka dushman
ana ke hush-papi jute pahan kar
apne kine ka naya kampa liye
bartari ke bench par
mahjub sa baiTha hua
ek purane jhuT se
daman chhuDana chahta tha
main ne dhire se tumhein aawaz di
aawaz di to
apni teDhi-meDhi aankhon se
mujhe tum ne ajab aalam mein dekha tha ki bas
main ji paDa tha
meri aankhen jagmaga uTThi thin
mere andar titliyan uDne lagi thin
aur milan ki us ghaDi mein
us sunahre din ke pas-manzar mein
tum hairan se
apni dhun mein
apni jawedan bad-surati mein
ek chite ki tarah se KHub-surat lag rahe the
Darte Darte
hairati reD-indian amriciyon ki tarah
dharti ki dhamak sunte hue
tum pas aae
pas aakar be-yaqini se mujhe takne lage the
main tumhein taskin dena
phir se bhalmansi ka rishta joD lena chahta tha
aur apne sang-basta hath se
jab tumhein sahla raha tha
aur tumhaare khurdure baalon mein
apni ungliyan uljha raha tha
ek albeli masarrat
ek nai lazzat mili
wo jo nafrat ki kamani
dil ki tah mein gaD gai thi
TuTti jati thi
mere andar ki kalen khulne lagi thi
main pighalta ja raha tha
wo hamari dosti
wo hamari fath-mandi ka janam-din
wo tilismi dopahar
sans lete ghas ke maidan mein
sabz miTi se shuaen ug rahi thin
Nazm
Ek suar se
Saqi Faruqi