magar be-zaiqa honTon se
tum ne saKHt chaTTanon ko chuma tha
wo un ki khurdurahaT nok nikli chhatiyan
tezabiyat namkin kai
sab ki lazzat se rahe na-ashna bachche tumhaare
isi bais to un ke jism mein KHun ki jagah pani ki gardish hai
isi bais wo apni nafraton ke KHud hadaf hain
aur dushman un pe hanste hain
Nazm
Ek siyasi nazm
Shahryar