KHwabon ki sarhad pe
nila nila ek samundar
teri aankhon jaisa
lahron ke nezon pe bahti
jagmag jagmag chand si raushan
apne pyar ki kashti
sat samundar se bhi dur
tufanon se khelti
jal pariyon se baaten karti
wapas lauT aai to
sahil ki chamkili ret mein
ek sitara TuT gira tha

Nazm
Ek sitara TuT gira tha
Jayant Parmar