اردو हिंदी
Ek shahr-ashob ka aaghaz | Shaahi Shayari
ek shahr-ashob ka aaghaz

Nazm

Ek shahr-ashob ka aaghaz

Faiz Ahmad Faiz

;

ab bazm-e-suKHan sohbat-e-lab-soKHtagan hai
ab halqa-e-mai taefa-e-be-talaban hai

ghar rahiye to virani-e-dil khane ko aawe
rah chaliye to har gam pe ghaugha-e-sagan hai

paiwand-e-rah-e-kucha-e-zar chashm-e-ghazalan
pabos-e-hawas afsar-e-shamshad-qadan hai

yan ahl-e-junun yak-ba-digar dast-o-gireban
wan jaish-e-hawas tegh-ba-kaf darpa-e-jaan hai

ab sahab-e-insaf hai KHud talib-e-insaf
mohr us ki hai mizan ba-dast-e-digran hai

hum sahal-talab kaun se farhad the lekin
ab shahr mein tere koi hum sa bhi kahan hai