nadi ke larazte hue paniyon par
thirakti hui shoKH kirnon ne chingariyan ghol di hain
thaki dhup ne aa ke lahron ki phaili hui nangi banhon pe apni laTen khol di hain
ye ju-e-rawan hai
ki bahte hue phul hain jin ki KHushbuen giton ki siskariyan hain
ye pighle hue zard tanbe ki chadar pe uljhi hui silwaTen hain
ki zanjir-ha-e-rawan hain
bas ek shor-e-tufan
kinara na sahil
nigahon ki had tak
salasil salasil
ki jin ko uThae hue Dolti pankhuDiyon ke safine bahe ja rahe hain
bahe ja rahe hain
kahin dur in ghor andheron mein jo faslon ki ridaen lapeTe khaDe hain
jahan par abad ka kinara hai aur ek wo ganw
wo ganne ke kyaron pe aati hui Dak gaDi ke bhore dhuen ki chhichhalti si chhanw
Nazm
Ek sham
Majeed Amjad