اردو हिंदी
Ek shaer ek nazm | Shaahi Shayari
ek shaer ek nazm

Nazm

Ek shaer ek nazm

Iftikhar Arif

;

apne shahsawaron ko
qatl karne walon se

KHun-baha talab karna
warison pe wajib tha

qatilon pe wajib tha
KHun-baha ada karna

wajibaat ki takmil
munsifon pe wajib thi

munsifon ki nigrani
qudsiyon pe wajib thi

waqt ki adalat mein
ek samt masnad thi

ek samt KHanjar tha
taj-e-zar-nigar ek samt

ek samt lashkar tha
ek taraf muqaddar tha

taife pukar uTThe
taj-o-taKHt zindabaad

saz-o-raKHt zindabaad
saz-o-raKHt zindabaad

KHalq hum se kahti hai
sara majra likkhen

kis ne kis tarah paya
apna KHun-baha likkhen

chashm-e-nam se sharminda
hum qalam se sharminda

sochte hain
kya likkhen