ek lamha bhi ek zamana hai
yaad rakhna ki bhul jaana hai
lab o ruKHsar o gesu-e-KHamdar
wo lachakti hui bahen wo hum aaghosh badan
wo chhalakte hue paimanon ki mahfil wo iram
naghma o raqs fusun-kari-e-fan
shahr aaraish-e-jannat hai zamin par ki nahin
ye numaish-gah-e-tamir-o-taraqqi ye zamin
zindagi mehnat o qudrat ke ajaib
ye mashinen KHud-kar
dhat ke purze jo hain farz-shanas o hushiyar
ai KHuda ye tere sayyaron ke rakhwale
ek lamha bhi ek zamana hai
yaad rakhna ki bhul jaana hai
aaj mausam bahut suhana hai
ji kare hai ki jaan de Dalen
aaj mausam bahut suhana hai
kaT gae qatilon ke hat kahin
pai mahkum ne najat kahin
baadshahat zamin pe de mari
chhin li hai inan-e-muKHtari
har taraf inqalab ke aasar
hain kahan parcham-e-shah-e-KHun-KHwar
rashk-e-jamshed faKHr-e-askandar
qaid mohallon mein ya ki mulk-badar
Dagmagata hai taKHt-e-shahana
shahryaron ka KHatm afsana
an-ginat bijliyan girin lekin
chaar tinkon ka aashiyana hai
ai KHuda-e-abad KHuda-e-azal
tere ghar mein pahunch gai halchal
Nazm
Ek sawal
Niyaz Haidar