اردو हिंदी
Ek sawal | Shaahi Shayari
ek sawal

Nazm

Ek sawal

Iftikhar Arif

;

mere aaba-o-ajdad ne hurmat-e-admi ke liye
ta-abad raushni ke liye

kalma-e-haq kaha
maqtalon qaid-KHanon salibon mein bahta lahu un ke hone ka ailan karta raha

wo lahu hurmat-e-admi ki zamanat bana
ta-abad raushni ki alamat bana

aur main pa-barahna sar-e-kucha-e-ehtiyaj
rizq ki maslahat ka asir aadmi

sochta rah gaya
jism mein mere un ka lahu hai to phir ye lahu bolta kyun nahin?